ashkon ko chun ke aankhon mein boya karenge hum
ashkoñ ko chun ke āñkhoñ meñ boyā kareñge ham
ronā tamām shahr kā royā kareñge ham
ḳhvāb-e-adam se DhūñD ke lā.eñge raushnī
phir zindagī meñ dhuup piroyā kareñge ham
ḳhūn-e-jarāhat-e-dil-e-nā-karda-kār se
ā.īna-e-hayāt ko dhoyā kareñge ham
pahle tamām shahr ko sahrā banā.eñge
phir vahshatoñ kī ret pe soyā kareñge ham
lafzoñ ko harf-harf piro.eñge sher meñ
lafzoñ se inhirāf bhī goyā kareñge ham
ashkon ko chun ke aankhon mein boya karenge hum
rona tamam shahr ka roya karenge hum
KHwab-e-adam se DhunD ke laenge raushni
phir zindagi mein dhup piroya karenge hum
KHun-e-jarahat-e-dil-e-na-karda-kar se
aaina-e-hayat ko dhoya karenge hum
pahle tamam shahr ko sahra banaenge
phir wahshaton ki ret pe soya karenge hum
lafzon ko harf-harf piroenge sher mein
lafzon se inhiraf bhi goya karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.