ashkon se apni aankhen bhigota raha ghazal
ashkoñ se apnī āñkheñ bhigotā rahā ġhazāl
baiThā nadī ke tiir pe rotā rahā ġhazāl
afsos ye hai us ko ġhazāla na mil sakī
ḳhud ko ġhamoñ meñ ḳhuub Dubotā rahā ġhazāl
sahrā-navardiyoñ use raas aa.ī is qadar
shānoñ pe ḳhāk-e-ishq bhī Dhotā rahā ġhazāl
vahshat kā ehtirām junūñ meñ kiyā ba-chashm
maazī ke ḳhaar dil meñ chubhotā rahā ġhazāl
ranj-o-surūr-o-kaif javānī ke chaar din
kyā kyā tumhāre 'ishq meñ khotā rahā ġhazāl
āñkhoñ meñ laal Dore se paḌte chale ga.e
aañsū ye kis hunar se pirotā rahā ġhazāl
sāhil tamām roz ġhamoñ ke 'azāb meñ
be-ḳhauf jism-o-jān se hotā rahā ġhazāl
ashkon se apni aankhen bhigota raha ghazal
baiTha nadi ke tir pe rota raha ghazal
afsos ye hai us ko ghazala na mil saki
KHud ko ghamon mein KHub Dubota raha ghazal
sahra-nawardiyon use ras aai is qadar
shanon pe KHak-e-ishq bhi Dhota raha ghazal
wahshat ka ehtiram junun mein kiya ba-chashm
mazi ke KHar dil mein chubhota raha ghazal
ranj-o-surur-o-kaif jawani ke chaar din
kya kya tumhaare 'ishq mein khota raha ghazal
aankhon mein lal Dore se paDte chale gae
aansu ye kis hunar se pirota raha ghazal
sahil tamam roz ghamon ke 'azab mein
be-KHauf jism-o-jaan se hota raha ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.