Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashkon se dil ki aag bujhaenge aap bhi

Ashfaq Ahmad Saim

ashkon se dil ki aag bujhaenge aap bhi

Ashfaq Ahmad Saim

MORE BYAshfaq Ahmad Saim

    ashkoñ se dil aag bujhā.eñge aap bhī

    kar kar ke yaad mujh ko bhulā.eñge aap bhī

    phir shauq-e-intizār taskīñ ke vāste

    chaukhaT pe ik diyā to jalā.eñge aap bhī

    TūTeñge ā.inoñ tarah pal meñ ek shab

    palkoñ pe jitne ḳhvāb sajā.eñge aap bhī

    aa.egī yaad chāñd se chehre jab chamak

    qissa to raushnī ko sunā.eñge aap bhī

    husn-e-tasavvurāt meñ likkheñge ek ḳhat

    likkheñge phaaḌ deñge jalā.eñge aap bhī

    jā.eñge roz-e-vasl ke lamhāt jagah

    ḳhushbū-e-lams-e-yār churāeñge aap bhī

    utregā saare shahr ke chehroñ pe merā aks

    kitnoñ ko jaan kah ke bulā.eñge aap bhī

    ashkon se dil ki aag bujhaenge aap bhi

    kar kar ke yaad mujh ko bhulaenge aap bhi

    phir shauq-e-intizar ki taskin ke waste

    chaukhaT pe ek diya to jalaenge aap bhi

    TuTenge aainon ki tarah pal mein ek shab

    palkon pe jitne KHwab sajaenge aap bhi

    aaegi yaad chand se chehre ki jab chamak

    qissa to raushni ko sunaenge aap bhi

    husn-e-tasawwuraat mein likkhenge ek KHat

    likkhenge phaD denge jalaenge aap bhi

    jaenge roz-e-wasl ke lamhat ki jagah

    KHushbu-e-lams-e-yar churaenge aap bhi

    utrega sare shahr ke chehron pe mera aks

    kitnon ko jaan kah ke bulaenge aap bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now