ashkon se jo nahaen lahu se wuzu karen
ashkoñ se jo nahā.eñ lahū se vuzū kareñ
qurbān-gāh-e-farz kī vo guftugū kareñ
sehn-e-chaman meñ DhūñD chuke husn-e-irtiqā
sahrā meñ ab tajassus-e-josh-e-numū kareñ
is shahr-e-be-amāñ meñ jo sad-chāk ho gayā
us dāman-e-hayāt ko kaise rafū kareñ
jab husn kī asaas dil-e-be-yaqīñ pe hai
phir kis liye ham apne jigar ko lahū kareñ
paimāna-e-ḳhulūs nahīñ jis kā dil 'sabā'
us shāhid-e-jamāl kī kyā aarzū kareñ
ashkon se jo nahaen lahu se wuzu karen
qurban-gah-e-farz ki wo guftugu karen
sehn-e-chaman mein DhunD chuke husn-e-irtiqa
sahra mein ab tajassus-e-josh-e-numu karen
is shahr-e-be-aman mein jo sad-chaak ho gaya
us daman-e-hayat ko kaise rafu karen
jab husn ki asas dil-e-be-yaqin pe hai
phir kis liye hum apne jigar ko lahu karen
paimana-e-KHulus nahin jis ka dil 'saba'
us shahid-e-jamal ki kya aarzu karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.