asir-e-bahr-o-bar koi nahin hai
asīr-e-bahr-o-bar koī nahīñ hai
jahāñ meñ muḳhtasar koī nahīñ hai
hai dhaḌkā sā mire siine meñ lekin
dar-e-ummīd par koī nahīñ hai
mirā saayā simaT aayā hai mujh meñ
mirā ab ham-safar koī nahīñ hai
havādis bhī vahīñ ham bhī vahīñ haiñ
magar ab chashm-e-tar koī nahīñ hai
nazar hī baam par merī nahīñ yā
nazar ke baam par koī nahīñ hai
ba-juz mere yahāñ merī vafā kā
havāla mo'atabar koī nahīñ hai
samajh kar soch kar dil meñ utarnā
yahāñ bāhar ko dar koī nahīñ hai
ḳhirad ke laakh qāsid haiñ to hoñge
junūñ kā nāma-bar koī nahīñ hai
mujhe apnāne vaale log 'tāhir'
bahut se haiñ magar koī nahīñ hai
asir-e-bahr-o-bar koi nahin hai
jahan mein muKHtasar koi nahin hai
hai dhaDka sa mere sine mein lekin
dar-e-ummid par koi nahin hai
mera saya simaT aaya hai mujh mein
mera ab ham-safar koi nahin hai
hawadis bhi wahin hum bhi wahin hain
magar ab chashm-e-tar koi nahin hai
nazar hi baam par meri nahin ya
nazar ke baam par koi nahin hai
ba-juz mere yahan meri wafa ka
hawala mo'atabar koi nahin hai
samajh kar soch kar dil mein utarna
yahan bahar ko dar koi nahin hai
KHirad ke lakh qasid hain to honge
junun ka nama-bar koi nahin hai
mujhe apnane wale log 'tahir'
bahut se hain magar koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.