asir-e-halqa-e-gesu-e-KHuban ho nahin sakta
asīr-e-halqa-e-gesū-e-ḳhūbāñ ho nahīñ saktā
vo dil tū jis ko taskīñ de pareshāñ ho nahīñ saktā
tirī qudrat se hotā hai tirī hikmat se hotā hai
koī patthar kahīñ la.al-e-badaḳhshāñ ho nahīñ saktā
mohabbat ho ki nafrat ho ye dil ke khel haiñ saare
na chāhe dil to koī dushman-e-jāñ ho nahīñ saktā
chhupā lete haiñ bā-dil mehr-o-mah ko apne dāman meñ
charāġh-e-dāġh-e-ulfat zer-e-dāmāñ ho nahīñ saktā
musībat hī se qadr-e-āfiyat hotī hai duniyā meñ
na pesh aayā ho jis ko ġham vo shādāñ ho nahīñ saktā
vatan koī ho izzat jauhar-e-qābil se baḌhtī hai
gul-e-sahrā kā ham-sar ḳhār-e-bustāñ ho nahīñ saktā
dil-e-insāñ hai muhtāj-e-ziyā-e-āftāb-e-ishq
baġhair us ke kisī sūrat daraḳhshāñ ho nahīñ saktā
usī se iḳhtiyār-o-jabr kā mafhūm khultā hai
jo honā chāhtā hai koī insāñ ho nahīñ saktā
miTāyā tū ne ai 'mahrūm' har-ik naqsh-e-bātil ko
judā dil se tire kyuuñ dāġh-e-hirmāñ ho nahīñ saktā
asir-e-halqa-e-gesu-e-KHuban ho nahin sakta
wo dil tu jis ko taskin de pareshan ho nahin sakta
teri qudrat se hota hai teri hikmat se hota hai
koi patthar kahin lal-e-badaKHshan ho nahin sakta
mohabbat ho ki nafrat ho ye dil ke khel hain sare
na chahe dil to koi dushman-e-jaan ho nahin sakta
chhupa lete hain ba-dil mehr-o-mah ko apne daman mein
charagh-e-dagh-e-ulfat zer-e-daman ho nahin sakta
musibat hi se qadr-e-afiyat hoti hai duniya mein
na pesh aaya ho jis ko gham wo shadan ho nahin sakta
watan koi ho izzat jauhar-e-qabil se baDhti hai
gul-e-sahra ka ham-sar KHar-e-bustan ho nahin sakta
dil-e-insan hai muhtaj-e-ziya-e-aftab-e-ishq
baghair us ke kisi surat daraKHshan ho nahin sakta
usi se iKHtiyar-o-jabr ka mafhum khulta hai
jo hona chahta hai koi insan ho nahin sakta
miTaya tu ne ai 'mahrum' har-ik naqsh-e-baatil ko
juda dil se tere kyun dagh-e-hirman ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.