asir-e-sham hain Dhalte dikhai dete hain
asīr-e-shām haiñ Dhalte dikhā.ī dete haiñ
ye log niiñd meñ chalte dikhā.ī dete haiñ
vo ik makān ki us meñ koī nahīñ rahtā
magar charāġh se jalte dikhā.ī dete haiñ
ye kaisā rañg nazar aayā us kī āñkhoñ meñ
ki saare rañg badalte dikhā.ī dete haiñ
vo kaun log haiñ jo tishnagī kī shiddat se
kanār-e-āb pighalte dikhā.ī dete haiñ
añdherī raat meñ bhī shahr ke darīchoñ se
hameñ to chāñd nikalte dikhā.ī dete haiñ
asir-e-sham hain Dhalte dikhai dete hain
ye log nind mein chalte dikhai dete hain
wo ek makan ki us mein koi nahin rahta
magar charagh se jalte dikhai dete hain
ye kaisa rang nazar aaya us ki aankhon mein
ki sare rang badalte dikhai dete hain
wo kaun log hain jo tishnagi ki shiddat se
kanar-e-ab pighalte dikhai dete hain
andheri raat mein bhi shahr ke darichon se
hamein to chand nikalte dikhai dete hain
- Book : siip-volume-47 (Pg. 49)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.