asir-e-sham-o-sahar inqalab paida kar
asir-e-sham-o-sahar inqalab paida kar
Khaleel-ul-Huda Shariq Niyazi
MORE BYKhaleel-ul-Huda Shariq Niyazi
asīr-e-shām-o-sahar inqalāb paidā kar
tū sīna-chāk sahī āftāb paidā kar
sukūn-e-dil ko fareb-e-umīd kyā kam hai
jo tishnagī hai muqaddar sarāb paidā kar
kahāñ vo shauq kahāñ vo fareb-kārī-e-shauq
kahīñ se phir vahī ahd-e-shabāb paidā kar
taḌap taḌap ke dil-e-be-qarār rah jaa.e
kuchh aur zulf-e-siyah pech-o-tāb paidā kar
nahīñ jo jalva-e-yūsuf nahīñ sahī 'shāriq'
nazar-fareb zuleḳhā kā ḳhvāb paidā kar
asir-e-sham-o-sahar inqalab paida kar
tu sina-chaak sahi aaftab paida kar
sukun-e-dil ko fareb-e-umid kya kam hai
jo tishnagi hai muqaddar sarab paida kar
kahan wo shauq kahan wo fareb-kari-e-shauq
kahin se phir wahi ahd-e-shabab paida kar
taDap taDap ke dil-e-be-qarar rah jae
kuchh aur zulf-e-siyah pech-o-tab paida kar
nahin jo jalwa-e-yusuf nahin sahi 'shaariq'
nazar-fareb zuleKHa ka KHwab paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.