asir-e-zist bhala aur kaun hai main hun
asīr-e-zīst bhalā aur kaun hai maiñ huuñ
tabhī jo roz marā aur kaun hai maiñ huuñ
mirā ḳhayāl-zada aur kaun hai tū hai
zamīn jhiil havā aur kaun hai maiñ huuñ
sabhī haiñ dast-burīda sabhī haiñ fariyādī
saboñ kā dast-e-duā aur kaun hai maiñ huuñ
tumhāre baaġh meñ jis ne ye gul khilā.e haiñ
are vo bād-e-sabā aur kaun hai maiñ huuñ
use jo dekheñ vo āñkheñ nikālī jaatī haiñ
kise vo degā sazā aur kaun hai maiñ huuñ
lagī hai aag yahāñ mahz mere hone se
dhueñ ke saath chalā aur kaun hai maiñ huuñ
usī ne pūchh liyā kaun merā hāfiz hai
maiñ us se kah na sakā aur kaun hai maiñ huuñ
asir-e-zist bhala aur kaun hai main hun
tabhi jo roz mara aur kaun hai main hun
mera KHayal-zada aur kaun hai tu hai
zamin jhil hawa aur kaun hai main hun
sabhi hain dast-burida sabhi hain fariyaadi
sabon ka dast-e-dua aur kaun hai main hun
tumhaare bagh mein jis ne ye gul khilae hain
are wo baad-e-saba aur kaun hai main hun
use jo dekhen wo aankhen nikali jati hain
kise wo dega saza aur kaun hai main hun
lagi hai aag yahan mahz mere hone se
dhuen ke sath chala aur kaun hai main hun
usi ne puchh liya kaun mera hafiz hai
main us se kah na saka aur kaun hai main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.