asir-e-zindagani main nahin hun
asīr-e-zindagānī maiñ nahīñ huuñ
badan hotā hai faanī maiñ nahīñ huuñ
jahāñ kī bad-gumānī maiñ nahīñ huuñ
ḳhud apnī ḳhush-bayānī maiñ nahīñ huuñ
mirā da.avā nahīñ hai is khañDar par
ye miTTī aur paanī maiñ nahīñ huuñ
agar paate ho merā daḳhl ḳhud meñ
yahāñ bas tum ho ya.anī maiñ nahīñ huuñ
gumāñ hai bas hañsī ho yā ki aañsū
ye sukh-dukh kī kahānī maiñ nahīñ huuñ
hai ik jaisā mirā honā na honā
koī rāz-e-nihānī maiñ nahīñ huuñ
sabā-e-marg kyā aatī hai lene
palaT bhī jā dīvānī maiñ nahīñ huuñ
asir-e-zindagani main nahin hun
badan hota hai fani main nahin hun
jahan ki bad-gumani main nahin hun
KHud apni KHush-bayani main nahin hun
mera dawa nahin hai is khanDar par
ye miTTi aur pani main nahin hun
agar pate ho mera daKHl KHud mein
yahan bas tum ho yani main nahin hun
guman hai bas hansi ho ya ki aansu
ye sukh-dukh ki kahani main nahin hun
hai ek jaisa mera hona na hona
koi raaz-e-nihani main nahin hun
saba-e-marg kya aati hai lene
palaT bhi ja diwani main nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.