asiri se to ye achchha hai mar ja
asīrī se to ye achchhā hai mar jā
havā ke vaar se pahle bikhar jā
tujhe khā jā.egī ye be-panāhī
samundar aa mire pyāle meñ bhar jā
tujhe shāyad ye duniyā maan jaa.e
isī zid meñ kabhī had se guzar jā
bichhaḌ jaane pe āḳhir kyoñ tulā hai
qadam ko rok le ab bhī Thahar jā
bahut saffāk haiñ ye log 'sājid'
inhī meñ rah inheñ hairān kar jā
asiri se to ye achchha hai mar ja
hawa ke war se pahle bikhar ja
tujhe kha jaegi ye be-panahi
samundar aa mere pyale mein bhar ja
tujhe shayad ye duniya man jae
isi zid mein kabhi had se guzar ja
bichhaD jaane pe aaKHir kyon tula hai
qadam ko rok le ab bhi Thahar ja
bahut saffak hain ye log 'sajid'
inhi mein rah inhen hairan kar ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.