asl chehron ka inkishaf kiya
asl chehroñ kā inkishāf kiyā
ham ne tabdīl har ġhilāf kiyā
shahr-bhar kī hai kyuuñ zabānoñ par
jis kā na maiñ ne inkishāf kiyā
jabr ko rahnumā samajhte the
kyuuñ zamāne se inhirāf kiyā
ḳhīrgī baḌh ga.ī hai shahroñ meñ
tañg aa.e to etakāf kiyā
harf-e-haq ham zabān par laa.e
saaf duniyā se iḳhtilāf kā
kab hai 'anjum' kī pairvī āsān
kis ne sūraj kā e'tirāf kiyā
asl chehron ka inkishaf kiya
hum ne tabdil har ghilaf kiya
shahr-bhar ki hai kyun zabanon par
jis ka na main ne inkishaf kiya
jabr ko rahnuma samajhte the
kyun zamane se inhiraf kiya
KHirgi baDh gai hai shahron mein
tang aae to etakaf kiya
harf-e-haq hum zaban par lae
saf duniya se iKHtilaf ka
kab hai 'anjum' ki pairwi aasan
kis ne suraj ka e'tiraf kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.