aur ab ye dil bhi mera manta hai
aur ab ye dil bhī merā māntā hai
vo merī dastaras se māvarā hai
chalo koī Thikāna DhūñDte haiñ
havā kā zor baḌhtā jā rahā hai
mire dil meñ hai sahrāoñ kā manzar
magar āñkhoñ se chashma phūTtā hai
sadā koī sunā.ī de to kaise
mire ghar meñ ḳhalā andar ḳhalā hai
zamāna haT chukā pīchhe kabhī kā
aur ab to sirf apnā sāmnā hai
maiñ chup huuñ ab use kaise batā.ūñ
koī andar se kaise TūTtā hai
aur ab ye dil bhi mera manta hai
wo meri dastaras se mawara hai
chalo koi Thikana DhunDte hain
hawa ka zor baDhta ja raha hai
mere dil mein hai sahraon ka manzar
magar aankhon se chashma phuTta hai
sada koi sunai de to kaise
mere ghar mein KHala andar KHala hai
zamana haT chuka pichhe kabhi ka
aur ab to sirf apna samna hai
main chup hun ab use kaise bataun
koi andar se kaise TuTta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.