aur ab ye kahta hun ye jurm to rawa rakhta
aur ab ye kahtā huuñ ye jurm to ravā rakhtā
maiñ umr apne liye bhī to kuchh bachā rakhtā
ḳhayāl-sub.hoñ kiran-sāhiloñ kī oT sadā
maiñ motiyoñ jaḌī bansī kī lai jagā rakhtā
jab āsmāñ pe ḳhudāoñ ke lafz Takrāte
maiñ apnī soch kī be-harf lau jalā rakhtā
havā ke sāyoñ meñ hijr aur hijratoñ ke vo ḳhvāb
maiñ apne dil meñ vo sab manzileñ sajā rakhtā
inhīñ hadoñ tak ubhartī ye lahar jis meñ huuñ maiñ
agar maiñ sab ye samundar bhī vaqt kā rakhtā
palaT paḌā huuñ shuāoñ ke chīthḌe oḌhe
nasheb-e-zīna-e-ayyām par asā rakhtā
ye kaun hai jo mirī zindagī meñ aa aa kar
hai mujh meñ kho.e mire jī ko DhūñDtā rakhtā
ġhamoñ ke sabz tabassum se kunj mahke haiñ
samay ke sam ke samar haiñ maiñ aur kyā rakhtā
kisī ḳhayāl meñ huuñ yā kisī ḳhalā meñ huuñ
kahāñ huuñ koī jahāñ to mirā patā rakhtā
jo shikva ab hai yahī ibtidā meñ thā 'amjad'
karīm thā mirī koshish meñ intihā rakhtā
aur ab ye kahta hun ye jurm to rawa rakhta
main umr apne liye bhi to kuchh bacha rakhta
KHayal-subhon kiran-sahilon ki oT sada
main motiyon jaDi bansi ki lai jaga rakhta
jab aasman pe KHudaon ke lafz Takraate
main apni soch ki be-harf lau jala rakhta
hawa ke sayon mein hijr aur hijraton ke wo KHwab
main apne dil mein wo sab manzilen saja rakhta
inhin hadon tak ubharti ye lahar jis mein hun main
agar main sab ye samundar bhi waqt ka rakhta
palaT paDa hun shuaon ke chithDe oDhe
nasheb-e-zina-e-ayyam par asa rakhta
ye kaun hai jo meri zindagi mein aa aa kar
hai mujh mein khoe mere ji ko DhunDta rakhta
ghamon ke sabz tabassum se kunj mahke hain
samay ke sam ke samar hain main aur kya rakhta
kisi KHayal mein hun ya kisi KHala mein hun
kahan hun koi jahan to mera pata rakhta
jo shikwa ab hai yahi ibtida mein tha 'amjad'
karim tha meri koshish mein intiha rakhta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.