aur duniya mein humne kya dekha
aur duniyā meñ ham ne kyā dekhā
sirf terā hī rāsta dekhā
us ne sūraj se chaar kiiñ āñkheñ
jis ne manzar thā raat kā dekhā
siskiyāñ chāñd kī sunīñ ham ne
jab sitāroñ ko TūTtā dekhā
mere dāman meñ pyaas kitnī thī
maiñ ne dariyā kā rāsta dekhā
husn dekhā to uñgliyāñ kāTīñ
kyā kareñge agar ḳhudā dekhā
har shikan phuuT phuuT kar roī
raat phir ḳhvāb-e-karbalā dekhā
aks apnā dhuāñ dhuāñ paayā
aaj 'tāriq' jab aa.ina dekhā
aur duniya mein hum ne kya dekha
sirf tera hi rasta dekha
us ne suraj se chaar kin aankhen
jis ne manzar tha raat ka dekha
siskiyan chand ki sunin hum ne
jab sitaron ko TuTta dekha
mere daman mein pyas kitni thi
main ne dariya ka rasta dekha
husn dekha to ungliyan kaTin
kya karenge agar KHuda dekha
har shikan phuT phuT kar roi
raat phir KHwab-e-karbala dekha
aks apna dhuan dhuan paya
aaj 'tariq' jab aaina dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.