Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aur gulon ka kaam nahin hota koi

Zeb Ghauri

aur gulon ka kaam nahin hota koi

Zeb Ghauri

aur guloñ kaam nahīñ hotā koī

ḳhushbū in.aam nahīñ hotā koī

thak gayā ek kahānī sunte sunte maiñ

kyā is anjām nahīñ hotā koī

sahrāoñ meñ ḳhaak uḌātā phirtā huuñ

is ke alāva kaam nahīñ hotā koī

dekho to kyā ḳhush rahte haiñ dil vaale

pūchho to ārām nahīñ hotā koī

chaTTāneñ bas saḳht huā kartī haiñ 'zeb'

chaTTānoñ naam nahīñ hotā koī

aur gulon ka kaam nahin hota koi

KHushbu ka inam nahin hota koi

thak gaya ek kahani sunte sunte main

kya is ka anjam nahin hota koi

sahraon mein KHak uData phirta hun

is ke alawa kaam nahin hota koi

dekho to kya KHush rahte hain dil wale

puchho to aaram nahin hota koi

chaTTanen bas saKHt hua karti hain 'zeb'

chaTTanon ka nam nahin hota koi

Source :
  • Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 28)
  • Author :Zeb Ghauri
  • Publication : Rekhta Publications (2023)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now