aur hain kitni manzilen baqi
aur haiñ kitnī manzileñ baaqī
jaan kitnī hai jism meñ baaqī
zinda logoñ kī būd-o-bāsh meñ haiñ
murda logoñ kī ādateñ baaqī
us se milnā vo ḳhvāb-e-hastī meñ
ḳhvāb mādūm hasrateñ baaqī
bah ga.e rañg-o-nūr ke chashme
rah ga.iiñ un kī rañgateñ baaqī
jin ke hone se ham bhī haiñ ai dil
shahr meñ haiñ vo sūrateñ baaqī
vo to aa ke 'munīr' jā bhī chukā
ik mahak sī hai baaġh meñ baaqī
aur hain kitni manzilen baqi
jaan kitni hai jism mein baqi
zinda logon ki bud-o-bash mein hain
murda logon ki aadaten baqi
us se milna wo KHwab-e-hasti mein
KHwab madum hasraten baqi
bah gae rang-o-nur ke chashme
rah gain un ki rangaten baqi
jin ke hone se hum bhi hain ai dil
shahr mein hain wo suraten baqi
wo to aa ke 'munir' ja bhi chuka
ek mahak si hai bagh mein baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.