Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aur hi kahin Thahre aur hi kahin pahunche

Ikram Mujeeb

aur hi kahin Thahre aur hi kahin pahunche

Ikram Mujeeb

MORE BYIkram Mujeeb

    aur kahīñ Thahre aur kahīñ pahuñche

    jis jagah pahuñchnā thā ham vahāñ nahīñ pahuñche

    hijr masāfat meñ saath rahā har dam

    duur ho ga.e tujh se jab tire qarīñ pahuñche

    tā.er-e-talab hai har uḌaan us dar tak

    nā-murād dil har rāsta vahīñ pahuñche

    ruḳh kare idhar har azaab duniyā

    āsmāñ se jo utre vo balā yahīñ pahuñche

    har dil o nazar meñ ho ik nikhār paidā

    bad-gumān zehnoñ tak nemat-e-yaqīñ pahuñche

    aur hi kahin Thahre aur hi kahin pahunche

    jis jagah pahunchna tha hum wahan nahin pahunche

    hijr ki masafat mein sath tu raha har dam

    dur ho gae tujh se jab tere qarin pahunche

    taer-e-talab ki hai har uDan us dar tak

    na-murad dil ka har rasta wahin pahunche

    ruKH kare idhar ka hi har azab duniya ka

    aasman se jo utre wo bala yahin pahunche

    har dil o nazar mein ho ek nikhaar sa paida

    bad-guman zehnon tak nemat-e-yaqin pahunche

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now