aur honge wo jinhen zabt ka dawa hoga
aur hoñge vo jinheñ zabt kā da.avā hogā
har bun-e-mū se yahāñ zikr kisī kā hogā
husn kyuuñ ishq kī tash.hīr pe shādāñ hai bahut
ishq rusvā hai to kyā husn na rusvā hogā
ashk ban ban ke vo āñkhoñ se Tapak jā.egī
kyā ḳhabar thī ki ye anjām-e-tamannā hogā
kahīñ rusvā na kare hairat-e-dīdār mujhe
aaj vo jalva-e-mastūr huvaidā hogā
dil hī āshob-e-zamāna kā sabab hai 'sīmāb'
dil na hogā to koī hashr na barpā hogā
aur honge wo jinhen zabt ka dawa hoga
har bun-e-mu se yahan zikr kisi ka hoga
husn kyun ishq ki tashhir pe shadan hai bahut
ishq ruswa hai to kya husn na ruswa hoga
ashk ban ban ke wo aankhon se Tapak jaegi
kya KHabar thi ki ye anjam-e-tamanna hoga
kahin ruswa na kare hairat-e-didar mujhe
aaj wo jalwa-e-mastur huwaida hoga
dil hi aashob-e-zamana ka sabab hai 'simab'
dil na hoga to koi hashr na barpa hoga
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 186)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.