aur kitna abhi parhez kiya jaega
aur kitnā abhī parhez kiyā jā.egā
in charāġhoñ ko kabhī tez kiyā jā.egā
ham tire rañg meñ rañg jā.eñge yā phir ham ko
aap hī kī tarah rañg-rez kiyā jā.egā
ham khaḌe ho ga.e haiñ haq ke tahaffuz ke liye
ham se ab jaan ke parhez kiyā jā.egā
zulm sah ke bhī baġhāvat nahīñ kī hai ham ne
zālimoñ ko abhī chañgez kiyā jā.egā
pahle hī TuuT chukā ghar kā tasavvur 'rāhī'
aur kitnā hameñ añgrez kiyā jā.egā
aur kitna abhi parhez kiya jaega
in charaghon ko kabhi tez kiya jaega
hum tere rang mein rang jaenge ya phir hum ko
aap hi ki tarah rang-rez kiya jaega
hum khaDe ho gae hain haq ke tahaffuz ke liye
hum se ab jaan ke parhez kiya jaega
zulm sah ke bhi baghawat nahin ki hai hum ne
zalimon ko abhi changez kiya jaega
pahle hi TuT chuka ghar ka tasawwur 'rahi'
aur kitna hamein angrez kiya jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.