aur koi baat sar-e-bazm-e-suKHan kab nikli
aur koi baat sar-e-bazm-e-suKHan kab nikli
Mehdi Baqar Khan Meraj
MORE BYMehdi Baqar Khan Meraj
aur koī baat sar-e-bazm-e-suḳhan kab niklī
bas tirī baat hī niklī hai yahāñ jab niklī
aañkh meñ ġham kā dhuāñ lab pe tabassum kī kiran
us ke chehre kī udāsī bhī mohazzab niklī
kyā ajab rasm-e-adālat hai ki har jurm ke ba.ad
mere a.amāl meñ niklī hai ḳhatā jab niklī
sun ke sūraj kī shahādat kī ḳhabar kirnoñ se
oḌh kar kaalī ridā shaam ga.e shab niklī
sirf sochā thā ki ik roz bichhaḌnā hogā
tham ga.ī nabz lagā jism se jaañ ab niklī
aur koi baat sar-e-bazm-e-suKHan kab nikli
bas teri baat hi nikli hai yahan jab nikli
aankh mein gham ka dhuan lab pe tabassum ki kiran
us ke chehre ki udasi bhi mohazzab nikli
kya ajab rasm-e-adalat hai ki har jurm ke baad
mere aamal mein nikli hai KHata jab nikli
sun ke suraj ki shahadat ki KHabar kirnon se
oDh kar kali rida sham gae shab nikli
sirf socha tha ki ek roz bichhaDna hoga
tham gai nabz laga jism se jaan ab nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.