aur kya aaKHir tujhe ai zindagani chahiye
aur kyā āḳhir tujhe ai zindagānī chāhiye
aarzū kal aag kī thī aaj paanī chāhiye
ye kahāñ kī riit hai jaage koī so.e koī
raat sab kī hai to sab ko niiñd aanī chāhiye
is ko hañsne ke liye to us ko rone ke liye
vaqt kī jholī se sab ko ik kahānī chāhiye
kyuuñ zarūrī hai kisī ke pīchhe pīchhe ham chaleñ
jab safar apnā hai to apnī ravānī chāhiye
kaun pahchānegā 'dānish' ab tujhe kirdār se
be-muravvat vaqt ko taaza nishānī chāhiye
aur kya aaKHir tujhe ai zindagani chahiye
aarzu kal aag ki thi aaj pani chahiye
ye kahan ki rit hai jage koi soe koi
raat sab ki hai to sab ko nind aani chahiye
is ko hansne ke liye to us ko rone ke liye
waqt ki jholi se sab ko ek kahani chahiye
kyun zaruri hai kisi ke pichhe pichhe hum chalen
jab safar apna hai to apni rawani chahiye
kaun pahchanega 'danish' ab tujhe kirdar se
be-murawwat waqt ko taza nishani chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.