aur kya roz-e-jaza dega mujhe
aur kyā roz-e-jazā degā mujhe
zinda rahne kī sazā degā mujhe
zaḳhm hī zaḳhm huuñ maiñ daaġh hī daaġh
kaun phūloñ kī qabā degā mujhe
maiñ samajhtā huuñ zamāne kā mizāj
vo banā.egā miTā degā mujhe
be-karāñ sadiyoñ kā sannāTā huuñ maiñ
kaun sā lamha sadā degā mujhe
TuuT kar lauh-o-qalam kī jāgīr
koī degā bhī to kyā degā mujhe
mere hī ḳhuun meñ nahlā ke 'sharar'
vo salīboñ pe sajā degā mujhe
aur kya roz-e-jaza dega mujhe
zinda rahne ki saza dega mujhe
zaKHm hi zaKHm hun main dagh hi dagh
kaun phulon ki qaba dega mujhe
main samajhta hun zamane ka mizaj
wo banaega miTa dega mujhe
be-karan sadiyon ka sannaTa hun main
kaun sa lamha sada dega mujhe
TuT kar lauh-o-qalam ki jagir
koi dega bhi to kya dega mujhe
mere hi KHun mein nahla ke 'sharar'
wo salibon pe saja dega mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.