aur kyon dard-e-sar kijiye
aur kyoñ dard-e-sar kījiye
baat ko muḳhtasar kījiye
ashk to ḳhatm hī ho chuke
ḳhuun se chashm tar kījiye
qadr-dāñ hī na jab koī ho
kis se arz-e-hunar kījiye
rahzanoñ ko hayā jin se aa.e
mat unheñ rāhbar kījiye
kiije ta.amīr be-shak mahal
kyoñ hameñ dar-ba-dar kījiye
jaise ḳhushbū rahe phuul meñ
zindagī yuuñ basar kījiye
aur kyon dard-e-sar kijiye
baat ko muKHtasar kijiye
ashk to KHatm hi ho chuke
KHun se chashm tar kijiye
qadr-dan hi na jab koi ho
kis se arz-e-hunar kijiye
rahzanon ko haya jin se aae
mat unhen rahbar kijiye
kije tamir be-shak mahal
kyon hamein dar-ba-dar kijiye
jaise KHushbu rahe phul mein
zindagi yun basar kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.