aur mujhse ye aziyyat nahin dekhi jati
aur mujh se ye aziyyat nahīñ dekhī jaatī
ai zamīñ ab tirī hālat nahīñ dekhī jaatī
zahr sī raat lahū aur ye ghamsān kā ran
dīda-e-tar se qayāmat nahīñ dekhī jaatī
zindagī aaj zarā hañs ke gale lag mujh se
terī āñkhoñ meñ nadāmat nahīñ dekhī jaatī
merī āñkhoñ meñ jo hairat hai mirī vahshat hai
mujh se ā.īne kī hairat nahīñ dekhī jaatī
be-sabab gul kī riyāsat meñ chale aate haiñ
dil ke rishte meñ zarūrat nahīñ dekhī jaatī
aur mujh se ye aziyyat nahin dekhi jati
ai zamin ab teri haalat nahin dekhi jati
zahr si raat lahu aur ye ghamsan ka ran
dida-e-tar se qayamat nahin dekhi jati
zindagi aaj zara hans ke gale lag mujh se
teri aankhon mein nadamat nahin dekhi jati
meri aankhon mein jo hairat hai meri wahshat hai
mujh se aaine ki hairat nahin dekhi jati
be-sabab gul ki riyasat mein chale aate hain
dil ke rishte mein zarurat nahin dekhi jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.