aur phir kaun si ab hogi mulaqat ki raat
aur phir kaun sī ab hogī mulāqāt kī raat
bhīgī bhīgī ye gunahgār sī barsāt kī raat
ghūmte kaTtā hai kūche meñ tire din kā din
baiThe kaT jaatī hai chaukhaT pe tirī raat kī raat
yuuñ haiñ barham tirī ghanghor ghaTā sī zulfeñ
jaisī bikhrī huī biphrī huī zulmāt kī raat
aisī ābād tirī bazm hai ai jān-e-nashāt
jaisī ka.aba kī sahar jaisī ḳharābāt kī raat
aur phir kaun si ab hogi mulaqat ki raat
bhigi bhigi ye gunahgar si barsat ki raat
ghumte kaTta hai kuche mein tere din ka din
baiThe kaT jati hai chaukhaT pe teri raat ki raat
yun hain barham teri ghanghor ghaTa si zulfen
jaisi bikhri hui biphri hui zulmat ki raat
aisi aabaad teri bazm hai ai jaan-e-nashat
jaisi kaba ki sahar jaisi KHarabaat ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.