aur samt-e-safar rasta aur hai
aur samt-e-safar rāsta aur hai
‘ahd-e-hāzir kā shāyad ḳhudā aur hai
āñdhiyāñ kis liye mutma.in ho ga.iiñ
mere ghar meñ abhī ik diyā aur hai
jhūTī ḳhabroñ kī tash.hīr mat kījiye
merī bastī kā vo vāqi'a aur hai
'āfiyat kī tamanna munāsib nahīñ
baaqī ik 'arsa-e-karbalā aur hai
ham tamannā-e-ḳhatm-e-safar kyoñ kareñ
is safar kī thakan kā mazā aur hai
aap kā shahr dilkash bahut hai magar
gaañv kī mere āb-o-havā aur hai
apnī pahchān bhī ab to mumkin nahīñ
ham hī badle haiñ yā aa.ina aur hai
shīsh-mahloñ meñ 'tābish' ko mat DhūñDhiye
is qalandar ke ghar kā patā aur hai
aur samt-e-safar rasta aur hai
‘ahd-e-hazir ka shayad KHuda aur hai
aandhiyan kis liye mutmain ho gain
mere ghar mein abhi ek diya aur hai
jhuTi KHabron ki tashhir mat kijiye
meri basti ka wo waqi'a aur hai
'afiyat ki tamanna munasib nahin
baqi ek 'arsa-e-karbala aur hai
hum tamanna-e-KHatm-e-safar kyon karen
is safar ki thakan ka maza aur hai
aap ka shahr dilkash bahut hai magar
ganw ki mere aab-o-hawa aur hai
apni pahchan bhi ab to mumkin nahin
hum hi badle hain ya aaina aur hai
shish-mahlon mein 'tabish' ko mat DhunDhiye
is qalandar ke ghar ka pata aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.