Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aur thoDa sa bikhar jaun yahi Thani hai

Khan Hasnain Aqib

aur thoDa sa bikhar jaun yahi Thani hai

Khan Hasnain Aqib

MORE BYKhan Hasnain Aqib

    aur thoḌā bikhar jā.ūñ yahī Thānī hai

    zindagī maiñ ne abhī haar kahāñ maanī hai

    haath par haath dhare baiThe to kuchh miltā nahīñ

    dasht o sahrā miyāñ ḳhaak kabhī chhānī hai

    qatl ko qatl jo kahte haiñ ġhalat kahte haiñ

    kuchh nahīñ zill-e-ilāhī ye nādānī hai

    sahm jaate haiñ agar patta bhī koī khaḌke

    jānte sab haiñ tirā zimma nigahbānī hai

    apnī ġhairat samundar abhī sūkhā to nahīñ

    buuñd bhar sahī āñkhoñ meñ abhī paanī hai

    aur thoDa sa bikhar jaun yahi Thani hai

    zindagi main ne abhi haar kahan mani hai

    hath par hath dhare baiThe to kuchh milta nahin

    dasht o sahra ki miyan KHak kabhi chhani hai

    qatl ko qatl jo kahte hain ghalat kahte hain

    kuchh nahin zill-e-ilahi ki ye nadani hai

    sahm jate hain agar patta bhi koi khaDke

    jaante sab hain tera zimma nigahbani hai

    apni ghairat ka samundar abhi sukha to nahin

    bund bhar hi sahi aankhon mein abhi pani hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now