aur to kuchh hai aaj kaam na kaj
aur to kuchh hai aaj kaam na kaaj
pūchhiye chal ke shā'irī ke mizāj
roz taqrīr kartī hai chhalnī
dekhiye boltā hai kis din chhāj
aur to māntā nahīñ koī
aap hī apne sar pe rakhiye taaj
kabhī qālīn bhī bichhā.eñge
ab to is zard ghaas par hī birāj
kyoñ nikaltā hai baar baar button
kuchh khulā rah gayā hai shāyad kaaj
ḳhuub hai kal ke saath sone se
bosa ek aadh hī sahī par aaj
bhalā aage vo pūchhte kab the
ab jo fehrist se huā iḳhrāj
us Dalī ke to ham nahīñ gāhak
is ghaḌī kā batā.iye alhāj
ab kahāñ jā.iyegā jān-e-'zafar'
hotī jaatī hai gumrahī bhī rivāj
aur to kuchh hai aaj kaam na kaj
puchhiye chal ke sha'iri ke mizaj
roz taqrir karti hai chhalni
dekhiye bolta hai kis din chhaj
aur to manta nahin koi
aap hi apne sar pe rakhiye taj
kabhi qalin bhi bichhaenge
ab to is zard ghas par hi biraj
kyon nikalta hai bar bar button
kuchh khula rah gaya hai shayad kaj
KHub hai kal ke sath sone se
bosa ek aadh hi sahi par aaj
bhala aage wo puchhte kab the
ab jo fehrist se hua iKHraj
us Dali ke to hum nahin gahak
is ghaDi ka bataiye alhaj
ab kahan jaiyega jaan-e-'zafar'
hoti jati hai gumrahi bhi riwaj
- Book : Ghazal Ka Shor (Pg. 58)
- Author : Zafar Iqbal
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.