auron ki burai ko na dekhun wo nazar de
auroñ kī burā.ī ko na dekhūñ vo nazar de
haañ apnī burā.ī ko parakhne kā hunar de
vo log jo sūraj ke ujāle meñ chale the
kis raah meñ gum ho ga.e kuchh un kī ḳhabar de
ik 'umr se jalte hue sahrāoñ meñ gum huuñ
kuchh der Thahar jā.ūñgā dāmān-e-shajar de
ik ḳhauf sā taarī hai gharoñ se nahīñ nikle
tarsī huī āñkhoñ ko sarāboñ kā safar de
sab apne charāġhoñ ko bujhā.e hue chup haiñ
ik aag sī siine meñ lagā de vo sharar de
auron ki burai ko na dekhun wo nazar de
han apni burai ko parakhne ka hunar de
wo log jo suraj ke ujale mein chale the
kis rah mein gum ho gae kuchh un ki KHabar de
ek 'umr se jalte hue sahraon mein gum hun
kuchh der Thahar jaunga daman-e-shajar de
ek KHauf sa tari hai gharon se nahin nikle
tarsi hui aankhon ko sarabon ka safar de
sab apne charaghon ko bujhae hue chup hain
ek aag si sine mein laga de wo sharar de
- Book : Gil-e-Lajvard (Pg. 112)
- Author : Khaleel Tanveer
- Publication : Al-asr Publications, Ahmedabad (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.