auron ki pyas aur hai aur uski pyas aur
auroñ kī pyaas aur hai aur us kī pyaas aur
kahtā hai har gilās pe bas ik gilās aur
ḳhud ko ka.ī baras se ye samjhā rahe haiñ ham
kaaTī hai itnī umr to do-chār maas aur
pahle hī kam hasīn kahāñ thā tumhārā ġham
pahnā diyā hai us ko ġhazal kā libās aur
Takrā rahī hai saañs mirī us kī saañs se
dil phir bhī de rahā hai sadā aur paas aur
allāh us kā lahja-e-shīrīñ ki kyā kahūñ
vallāh us pe urdu zabāñ kī miThās aur
bāñdhā hai ab naqāb to phir kas ke bāñdh le
ik ghūñT pī ke ye na ho baḌh jaa.e pyaas aur
'ġhālib' hayāt hote to karte ye e'tirāf
daur-e-'charāġh' meñ hai ġhazal kā class aur
auron ki pyas aur hai aur us ki pyas aur
kahta hai har gilas pe bas ek gilas aur
KHud ko kai baras se ye samjha rahe hain hum
kaTi hai itni umr to do-chaar mas aur
pahle hi kam hasin kahan tha tumhaara gham
pahna diya hai us ko ghazal ka libas aur
Takra rahi hai sans meri us ki sans se
dil phir bhi de raha hai sada aur pas aur
allah us ka lahja-e-shirin ki kya kahun
wallah us pe urdu zaban ki miThas aur
bandha hai ab naqab to phir kas ke bandh le
ek ghunT pi ke ye na ho baDh jae pyas aur
'ghaalib' hayat hote to karte ye e'tiraf
daur-e-'charagh' mein hai ghazal ka class aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.