ausaf aab ke hain to tasir aag ki
ausāf aab ke haiñ to tāsīr aag kī
har zāviye se khīñch lī tasvīr aag kī
kis raushnī ke haath hai taskīn kā ḳhirāj
jaltī hai har charāġh meñ taqdīr aag kī
sahrā ke harf-harf meñ paanī kā intizār
phūloñ ke lafz-lafz meñ tash.hīr aag kī
jā pūchh injimād ke nuqte se ḳhaslateñ
ujlat shi'ār barf kā tāḳhīr aag kī
utre haiñ saat rang isī fikr-gāh par
sūjhī thī āThveñ ko bhī tadbīr aag kī
ab tak mirī zabāñ pe haiñ chhāle paḌe hue
pūchhī thī ek shaḳhs ne tafsīr aag kī
ausaf aab ke hain to tasir aag ki
har zawiye se khinch li taswir aag ki
kis raushni ke hath hai taskin ka KHiraj
jalti hai har charagh mein taqdir aag ki
sahra ke harf-harf mein pani ka intizar
phulon ke lafz-lafz mein tashhir aag ki
ja puchh injimad ke nuqte se KHaslaten
ujlat shi'ar barf ka taKHir aag ki
utre hain sat rang isi fikr-gah par
sujhi thi aaThwen ko bhi tadbir aag ki
ab tak meri zaban pe hain chhaale paDe hue
puchhi thi ek shaKHs ne tafsir aag ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.