awwal awwal KHwab dikhaya jaega
avval avval ḳhvāb dikhāyā jā.egā
baad meñ ummīdoñ ko toḌā jā.egā
yuuñ to hai ummīd ravā sab se lekin
vaqt-e-hājat sab ko parkhā jā.egā
pyaar meñ ḳhud ko achchhe se barbād karo
hālat bigḌegī to sochā jā.egā
dil kā haal jo ā.īne par aa.egā
phir ā.īna yaksar toḌā jā.egā
marte dam tak qaid rahegā tū 'faisal'
qabr meñ zanjīroñ ko kholā jā.egā
awwal awwal KHwab dikhaya jaega
baad mein ummidon ko toDa jaega
yun to hai ummid rawa sab se lekin
waqt-e-hajat sab ko parkha jaega
pyar mein KHud ko achchhe se barbaad karo
haalat bigDegi to socha jaega
dil ka haal jo aaine par aaega
phir aaina yaksar toDa jaega
marte dam tak qaid rahega tu 'faisal'
qabr mein zanjiron ko khola jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.