awwal awwal to ye KHwabon ki tarah hota hai
avval avval to ye ḳhvāboñ kī tarah hotā hai
ishq phir dūsre kāmoñ kī tarah hotā hai
pahle filmeñ bhī haqīqat kī tarah hotī thiiñ
ab haqīqat meñ bhī filmoñ kī tarah hotā hai
kaam kartā hai musalsal kabhī thaktā hī nahīñ
baap goyā ki mashīnoñ kī tarah hotā hai
maiñ tire hijr meñ is darja magan hotā huuñ
merā din bhī mirī rātoñ kī tarah hotā hai
kitne hoñToñ pe sajātā hai tabassum ke gulāb
vo jo ik shaḳhs latīfoñ kī tarah hotā hai
awwal awwal to ye KHwabon ki tarah hota hai
ishq phir dusre kaamon ki tarah hota hai
pahle filmen bhi haqiqat ki tarah hoti thin
ab haqiqat mein bhi filmon ki tarah hota hai
kaam karta hai musalsal kabhi thakta hi nahin
bap goya ki mashinon ki tarah hota hai
main tere hijr mein is darja magan hota hun
mera din bhi meri raaton ki tarah hota hai
kitne honTon pe sajata hai tabassum ke gulab
wo jo ek shaKHs latifon ki tarah hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.