azab hum pe jo nazil hua KHuda se na tha
azaab ham pe jo nāzil huā ḳhudā se na thā
ki tū razā se muqaddar huā qazā se na thā
ye hāl-e-zār to āshob-e-āgahī se huā
ki gul-darīda-jigar mauja-e-sabā se na thā
khañDar to shahr-e-dil andar ke zalzaloñ se huā
ye zulm terī jafā yā tirī vafā se na thā
bikhre ga.e gul-e-nāzuk havā ke jhoñke se
gilā jo thā to nazākat se thā havā se na thā
dil-o-dimāġh pe thā iḳhtiyār ham ko bhī
hayāt par ye tasarruf tirā sadā se na thā
tirī hayāt khilaunā banī muqaddar kā
sabab ye hai ki tirā rābta ḳhudā se na thā
mujhe to jo bhī milā ā.ina-ba-dast milā
maiñ jabr-e-ġhair se thā ḳhud-nigar anā se na thā
azab hum pe jo nazil hua KHuda se na tha
ki tu raza se muqaddar hua qaza se na tha
ye haal-e-zar to aashob-e-agahi se hua
ki gul-darida-jigar mauja-e-saba se na tha
khanDar to shahr-e-dil andar ke zalzalon se hua
ye zulm teri jafa ya teri wafa se na tha
bikhre gae gul-e-nazuk hawa ke jhonke se
gila jo tha to nazakat se tha hawa se na tha
dil-o-dimagh pe tha iKHtiyar hum ko bhi
hayat par ye tasarruf tera sada se na tha
teri hayat khilauna bani muqaddar ka
sabab ye hai ki tera rabta KHuda se na tha
mujhe to jo bhi mila aaina-ba-dast mila
main jabr-e-ghair se tha KHud-nigar ana se na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.