azan se nara-e-naqus paida ho nahin sakta
azaañ se narā-e-nāqūs paidā ho nahīñ saktā
abhī kuchh roz tak ka.aba kalīsā ho nahīñ saktā
zabāñ se josh-e-qaumī dil meñ paidā ho nahīñ saktā
ubalne se kuaañ vus.at meñ dariyā ho nahīñ saktā
bahut pinhāñ rahī dil meñ ḳhalish ḳhār-e-ta.assub kī
magar ab imtihāñ ke vaqt parda ho nahīñ saktā
girāñ hai jins aur niyyat ḳharīdāroñ kī abtar hai
ab is bāzār meñ ulfat kā saudā ho nahīñ saktā
azan se nara-e-naqus paida ho nahin sakta
abhi kuchh roz tak kaba kalisa ho nahin sakta
zaban se josh-e-qaumi dil mein paida ho nahin sakta
ubalne se kuan wusat mein dariya ho nahin sakta
bahut pinhan rahi dil mein KHalish KHar-e-tassub ki
magar ab imtihan ke waqt parda ho nahin sakta
giran hai jins aur niyyat KHaridaron ki abtar hai
ab is bazar mein ulfat ka sauda ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.