azal ke din se chala hun abhi safar mein hun
azal ke din se chalā huuñ abhī safar meñ huuñ
maiñ āsmāñ pe sahī phir bhī rah-guzar meñ huuñ
suḳhan meñ soz na jaane kahāñ se phuuT paḌā
ġharīq jab se mai-e-harf-e-lā-tazar meñ huuñ
tirī namāz hai muhtāj-e-mimbar-o-mehrāb
mirī namāz ki bas razm-e-ḳhair-o-shar meñ huuñ
sukūn-e-dil kī talab meñ taḌap rahā huuñ magar
asiir lazzat-e-duniyā-e-sīm-o-zar meñ huuñ
mirā qusūr thā qālū-balā-shahidnā bhī
qusūr-vār ḳhatā-e-abul-bashar meñ huuñ
azal ke din se chala hun abhi safar mein hun
main aasman pe sahi phir bhi rah-guzar mein hun
suKHan mein soz na jaane kahan se phuT paDa
ghariq jab se mai-e-harf-e-la-tazar mein hun
teri namaz hai muhtaj-e-mimbar-o-mehrab
meri namaz ki bas razm-e-KHair-o-shar mein hun
sukun-e-dil ki talab mein taDap raha hun magar
asir lazzat-e-duniya-e-sim-o-zar mein hun
mera qusur tha qalu-bala-shahidna bhi
qusur-war KHata-e-abul-bashar mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.