azm-e-fariyaad! unhen ai dil-e-nashad nahin
azm-e-fariyād! unheñ ai dil-e-nāshād nahīñ
maslak-e-ahl-e-vafā zabt hai fariyād nahīñ
hāsil-e-ishq ba-juz ḳhātir-e-nāshād nahīñ
ye ġhanīmat hai ki mehnat mirī barbād nahīñ
ai mirī qaid tamannā ke baḌhāne vaale
ġhair-mahdūd tire husn kī mī.ād nahīñ
bazm-e-afsāna karo ḳhatm javānī guzrī
qābil-e-zikr ab aage koī rūdād nahīñ
maut hai ruuh kī me.arāj to phir ai 'sīmāb'
ye ulū hai mirī dānist meñ uftād nahīñ
azm-e-fariyaad! unhen ai dil-e-nashad nahin
maslak-e-ahl-e-wafa zabt hai fariyaad nahin
hasil-e-ishq ba-juz KHatir-e-nashad nahin
ye ghanimat hai ki mehnat meri barbaad nahin
ai meri qaid tamanna ke baDhane wale
ghair-mahdud tere husn ki miad nahin
bazm-e-afsana karo KHatm jawani guzri
qabil-e-zikr ab aage koi rudad nahin
maut hai ruh ki mearaj to phir ai 'simab'
ye ulu hai meri danist mein uftad nahin
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 246)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.