azmat-e-ahl-e-junun pas-e-wafa rakkha hai
'azmat-e-ahl-e-junūñ pās-e-vafā rakkhā hai
chāk-e-dāman ko rafūgar se bachā rakkhā hai
dil ke pahlū meñ koī sham' jalā rakkhī hai
sīna-e-shauq ko parvāna banā rakkhā hai
fitna-e-qāmat-e-zebā kī hikāyat mat pūchh
roz-e-mahshar se pare hashr uThā rakkhā hai
mid.hat-e-zill-e-ilāhī nahīñ hogī ham se
ham ne inkār kā me'yār bachā rakkhā hai
marhabā shoḳhī-o-'ayyārī-e-mā'shūq 'nadīm'
'ishq ko husn ke parde meñ chhupā rakkhā hai
'azmat-e-ahl-e-junun pas-e-wafa rakkha hai
chaak-e-daman ko rafugar se bacha rakkha hai
dil ke pahlu mein koi sham' jala rakkhi hai
sina-e-shauq ko parwana bana rakkha hai
fitna-e-qamat-e-zeba ki hikayat mat puchh
roz-e-mahshar se pare hashr uTha rakkha hai
midhat-e-zill-e-ilahi nahin hogi hum se
hum ne inkar ka me'yar bacha rakkha hai
marhaba shoKHi-o-'ayyari-e-ma'shuq 'nadim'
'ishq ko husn ke parde mein chhupa rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.