azmat-e-shahar-e-ana shan-e-bashar ki surat
azmat-e-shahar-e-anā shān-e-bashar kī sūrat
mere shānoñ pe koī hai mire sar kī sūrat
roz utartā hai samundar meñ sunahrā sūraj
roz ban jaatī hai ik dīda-e-tar kī sūrat
dil jo sahrā ke sarāboñ se mirā uub gayā
yaad aa.ī mujhe bhūle hue ghar kī sūrat
aa ke nazdīk mire jalne kā manzar dekho
duur se sho.ala bhī lagtā hai sharar kī sūrat
āhaTeñ qadmoñ kī mohlat nahīñ detīñ varna
dekhte rahte haiñ raste bhī safar kī sūrat
kaun se ahd meñ kholī haiñ ye āñkheñ ham ne
aib lagte haiñ 'suḳhan' sab ke hunar kī sūrat
azmat-e-shahar-e-ana shan-e-bashar ki surat
mere shanon pe koi hai mere sar ki surat
roz utarta hai samundar mein sunahra suraj
roz ban jati hai ek dida-e-tar ki surat
dil jo sahra ke sarabon se mera ub gaya
yaad aai mujhe bhule hue ghar ki surat
aa ke nazdik mere jalne ka manzar dekho
dur se shoala bhi lagta hai sharar ki surat
aahaTen qadmon ki mohlat nahin detin warna
dekhte rahte hain raste bhi safar ki surat
kaun se ahd mein kholi hain ye aankhen hum ne
aib lagte hain 'suKHan' sab ke hunar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.