azmaten sab teri KHudai ki
azmateñ sab tirī ḳhudā.ī kī
haisiyat kyā mirī ikaa.ī kī
mire hoñToñ ke phuul suukh ga.e
tum ne kyā mujh se bevafā.ī kī
sab mire haath paañv lafzoñ ke
aur āñkheñ bhī raushnā.ī kī
maiñ hī mulzim huuñ maiñ hī munsif huuñ
koī sūrat nahīñ rihā.ī kī
ik baras zindagī kā biit gayā
tah jamī ek aur kaa.ī kī
ab taraste raho ġhazal ke liye
tum ne lafzoñ se bevafā.ī kī
azmaten sab teri KHudai ki
haisiyat kya meri ikai ki
mere honTon ke phul sukh gae
tum ne kya mujh se bewafai ki
sab mere hath panw lafzon ke
aur aankhen bhi raushnai ki
main hi mulzim hun main hi munsif hun
koi surat nahin rihai ki
ek baras zindagi ka bit gaya
tah jami ek aur kai ki
ab taraste raho ghazal ke liye
tum ne lafzon se bewafai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.