azmaton mein hai sadgi uski
azmatoñ meñ hai sādgī us kī
paḌh ke dekhī jo zindagī us kī
soch kar tanz kījiye sāhib
har diye meñ hai raushnī us kī
ujlateñ haiñ safar pe āmāda
bāñdh letī hai dilkashī us kī
dab gayā hai vo apnī ġhurbat meñ
shaḳhsiyat hai pahāḌ sī us kī
sher kāġhaz pe phir nahīñ utre
muñh chiḌātī rahī ghaḌī us kī
azmaton mein hai sadgi us ki
paDh ke dekhi jo zindagi us ki
soch kar tanz kijiye sahib
har diye mein hai raushni us ki
ujlaten hain safar pe aamada
bandh leti hai dilkashi us ki
dab gaya hai wo apni ghurbat mein
shaKHsiyat hai pahaD si us ki
sher kaghaz pe phir nahin utre
munh chiDati rahi ghaDi us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.