ba-ehtiyat mere pas se guzar bhi gaya
ba-ehtiyāt mire paas se guzar bhī gayā
vo be-niyāz rahā aur bā-ḳhabar bhī gayā
na tan kā hosh rahā aur na jaañ aziiz huī
vo ma.arka thā ki ehsās-e-teġh-o-sar bhī gayā
tumhīñ meñ thā vo magar tum na us ko jaan sake
aur ab to vādī-e-lā-samt meñ utar bhī gayā
sañbhāle baiThe the dastār donoñ hāthoñ se
uThī vo mauj ki pagḌī ke saath sar bhī gayā
vo zahr ārzū-e-lams jazb kartā rahā
kisī ko Das na sakā phir vo naag mar bhī gayā
mirī anā hī mujhe e'timād detī thī
vo shāḳh TuuT ga.ī aur vo samar bhī gayā
ba-ehtiyat mere pas se guzar bhi gaya
wo be-niyaz raha aur ba-KHabar bhi gaya
na tan ka hosh raha aur na jaan aziz hui
wo marka tha ki ehsas-e-tegh-o-sar bhi gaya
tumhin mein tha wo magar tum na us ko jaan sake
aur ab to wadi-e-la-samt mein utar bhi gaya
sanbhaale baiThe the dastar donon hathon se
uThi wo mauj ki pagDi ke sath sar bhi gaya
wo zahr aarzu-e-lams jazb karta raha
kisi ko Das na saka phir wo nag mar bhi gaya
meri ana hi mujhe e'timad deti thi
wo shaKH TuT gai aur wo samar bhi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.