ba-har-surat Thahar jaana paDega
ba-har-sūrat Thahar jaanā paḌegā
agar raste meñ mai-ḳhāna paḌegā
mohabbat meñ sukūn-e-dil kī ḳhātir
kisī din zahr bhī khānā paḌegā
abhī manzil kahāñ ai zauq-e-manzil
abhī to manziloñ jaanā paḌegā
na pūchho mujh se vaj.h-e-be-qarārī
bharī mahfil meñ sharmānā paḌegā
kahāñ jā.ūñ maiñ tere dar se uTh kar
palaT kar phir yahīñ aanā paḌegā
yahī pur-lutf ulfat ho to puḳhta
sarāpā dard ban jaanā paḌegā
haiñ kyā dair-o-haram un kī talab meñ
ḳhudā jaane kahāñ jaanā paḌegā
tamannā-e-vafādārī salāmat
unheñ bhī haath phailānā paḌegā
javānī ābrū-e-zindagī hai
ye daulat kho ke pachhtānā paḌegā
samajh lo 'jurm' dastūr-e-mohabbat
zamāne bhar ko samjhānā paḌegā
ba-har-surat Thahar jaana paDega
agar raste mein mai-KHana paDega
mohabbat mein sukun-e-dil ki KHatir
kisi din zahr bhi khana paDega
abhi manzil kahan ai zauq-e-manzil
abhi to manzilon jaana paDega
na puchho mujh se wajh-e-be-qarari
bhari mahfil mein sharmana paDega
kahan jaun main tere dar se uTh kar
palaT kar phir yahin aana paDega
yahi pur-lutf ulfat ho to puKHta
sarapa dard ban jaana paDega
hain kya dair-o-haram un ki talab mein
KHuda jaane kahan jaana paDega
tamanna-e-wafadari salamat
unhen bhi hath phailana paDega
jawani aabru-e-zindagi hai
ye daulat kho ke pachhtana paDega
samajh lo 'jurm' dastur-e-mohabbat
zamane bhar ko samjhana paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.