ba-nam-e-harf-e-sadaqat suKHan-wari karna
ba-nām-e-harf-e-sadāqat suḳhan-varī karnā
shikam-purī ke liye mīr-jā'frī karnā
hamāre 'ahd ne ham ko diyā hai ye mansab
ḳhud apne qatl meñ qātil kī rahbarī karnā
baḌā hai vo to phir apnī baḌā.ī bhī rakkhe
ki chhoTā siikh na jaa.e barābarī karnā
ġham-e-hayāt se Dar jaanā buz-diloñ kī tarah
phir apnī zaat se iz.hār-e-bartarī karnā
ġhubār-e-rāh ko sāhib ye fan bhī aatā hai
havā meñ uḌnā sitāroñ kī hamsarī karnā
ġhulām ho ke bhī vo bādshāh hotā hai
likhā ho jis ke muqaddar meñ qambarī karnā
ba-nam-e-harf-e-sadaqat suKHan-wari karna
shikam-puri ke liye mir-ja'fri karna
hamare 'ahd ne hum ko diya hai ye mansab
KHud apne qatl mein qatil ki rahbari karna
baDa hai wo to phir apni baDai bhi rakkhe
ki chhoTa sikh na jae barabari karna
gham-e-hayat se Dar jaana buz-dilon ki tarah
phir apni zat se izhaar-e-bartari karna
ghubar-e-rah ko sahib ye fan bhi aata hai
hawa mein uDna sitaron ki hamsari karna
ghulam ho ke bhi wo baadshah hota hai
likha ho jis ke muqaddar mein qambari karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.