ba-nam-e-yar tarahdar ai saba le ja
ba-nām-e-yār tarahdār ai sabā le jā
ye aabjū ye gul-o-sabza ye ghaTā le jā
jo naam ko bhī sukūñ hai use uThā le jā
jo hosh uḌā hai to ye ḳhaak bhī uḌā le jā
laboñ meñ rabt nahīñ aañkh hai magar sarshār
gulāb rahne de ḳhushbū kā aasrā le jā
bharī hai josh-e-chaman se numūd-e-ḳhush-badanī
surūr bhī gila-e-jāñ-gudāz kā le jā
girāñ-bahā hai ye daulat jo sun nava-e-faqīr
dikhā de rū-e-tabassum-numā du'ā le jā
ba-nam-e-yar tarahdar ai saba le ja
ye aabju ye gul-o-sabza ye ghaTa le ja
jo nam ko bhi sukun hai use uTha le ja
jo hosh uDa hai to ye KHak bhi uDa le ja
labon mein rabt nahin aankh hai magar sarshaar
gulab rahne de KHushbu ka aasra le ja
bhari hai josh-e-chaman se numud-e-KHush-badani
surur bhi gila-e-jaan-gudaz ka le ja
giran-baha hai ye daulat jo sun nawa-e-faqir
dikha de ru-e-tabassum-numa du'a le ja
- Book : Bahar-e-ejaad (Pg. 29)
- Author : Sayed Ameen Ashraf
- Publication : Sayed Ameen Ashraf (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.