ba-qadr-e-hasrat-e-dil zulm bhi Dhana nahin aata
ba-qadr-e-hasrat-e-dil zulm bhi Dhana nahin aata
Rashid Shahjahanpuri
MORE BYRashid Shahjahanpuri
ba-qadr-e-hasrat-e-dil zulm bhī Dhānā nahīñ aatā
vo kyā taskīn deñge jin ko taḌpānā nahīñ aatā
baqā-e-jāvedāñ ke raaz se vāqif nahīñ ai dil
jinheñ rāh-e-vafā meñ ḳhaak ho jaanā nahīñ aatā
badalte rahiye unvāñ sharh-e-rūdād-e-mohabbat ke
kisī sūrat tamāmī par ye afsāna nahīñ aatā
girā de qasr-e-istibdād jo ik nāra-e-hū se
nazar aisā koī bhī aaj dīvānā nahīñ aatā
ba-qadr-e-hasrat-e-dil zulm bhi Dhana nahin aata
wo kya taskin denge jin ko taDpana nahin aata
baqa-e-jawedan ke raaz se waqif nahin ai dil
jinhen rah-e-wafa mein KHak ho jaana nahin aata
badalte rahiye unwan sharh-e-rudad-e-mohabbat ke
kisi surat tamami par ye afsana nahin aata
gira de qasr-e-istibdad jo ek nara-e-hu se
nazar aisa koi bhi aaj diwana nahin aata
- Dast-e-nigaaren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.