ba-qadr-e-shauq iqrar-e-wafa kya
ba-qadr-e-shauq iqrār-e-vafā kyā
hamāre shauq kī hai intihā kyā
du'ā dil se jo nikle kārgar ho
yahāñ dil hī nahīñ dil se du'ā kyā
jo kahte haiñ ab is meñ kuchh nahīñ hai
koī un se ye pūchhe mujh meñ thā kyā
na us par iḳhtiyār apnā na is par
sar-e-āġhāz o fikr-e-intihā kyā
salāmat dāman-e-ummīd 'sīmāb'
mohabbat meñ kisī kā aasrā kyā
ba-qadr-e-shauq iqrar-e-wafa kya
hamare shauq ki hai intiha kya
du'a dil se jo nikle kargar ho
yahan dil hi nahin dil se du'a kya
jo kahte hain ab is mein kuchh nahin hai
koi un se ye puchhe mujh mein tha kya
na us par iKHtiyar apna na is par
sar-e-aghaz o fikr-e-intiha kya
salamat daman-e-ummid 'simab'
mohabbat mein kisi ka aasra kya
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 243)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.