ba-qadr-e-zauq-e-sujud aastan nahin milta
ba-qadr-e-zauq-e-sujud aastan nahin milta
Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi
MORE BYSyed Wajid Ali Farrukh Banarsi
ba-qadr-e-zauq-e-sujūd āstāñ nahīñ miltā
zamīñ mile to mile āsmāñ nahīñ miltā
kiyā hai shauq meñ tai sar se jāda-e-maqsūd
kisī ko mere qadam kā nishāñ nahīñ miltā
jaras kī aatī hai kānoñ meñ duur se āvāz
talāsh meñ huuñ magar kārvāñ nahīñ miltā
ajal ne qissa-e-ġham nā-tamām chhoḌ diyā
yahīñ se silsila-e-dāstāñ nahīñ miltā
niyāz-e-ishq ko dekh aur nāz-e-husn ko dekh
mirī jabīñ se tirā āstāñ nahīñ miltā
rahe qafas meñ to sayyād ke sitam dekhe
chaman meñ aa.e to ab āshiyāñ nahīñ miltā
nahīñ ki manzil-e-jānāñ hai be-nishāñ 'farruḳh'
vahāñ pahuñch ke ḳhud apnā nishāñ nahīñ miltā
ba-qadr-e-zauq-e-sujud aastan nahin milta
zamin mile to mile aasman nahin milta
kiya hai shauq mein tai sar se jada-e-maqsud
kisi ko mere qadam ka nishan nahin milta
jaras ki aati hai kanon mein dur se aawaz
talash mein hun magar karwan nahin milta
ajal ne qissa-e-gham na-tamam chhoD diya
yahin se silsila-e-dastan nahin milta
niyaz-e-ishq ko dekh aur naz-e-husn ko dekh
meri jabin se tera aastan nahin milta
rahe qafas mein to sayyaad ke sitam dekhe
chaman mein aae to ab aashiyan nahin milta
nahin ki manzil-e-jaanan hai be-nishan 'farruKH'
wahan pahunch ke KHud apna nishan nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.