ba-rang-e-KHwab main bikhra rahunga
ba-rañg-e-ḳhvāb maiñ bikhrā rahūñgā
tire inkār jab chuntā rahūñgā
kabhī sochā nahīñ thā maiñ tire bin
yuuñ zer-e-āsmāñ tanhā rahūñgā
tū koī aks mujh meñ DhūñDnā mat
maiñ shīsha huuñ faqat shīsha rahūñgā
ta.affun-zār hotī mahfiloñ meñ
ḳhayāl-e-yār se mahkā rahūñgā
jiyūñgā maiñ tirī sāñsoñ meñ jab tak
ḳhud apnī saañs meñ zinda rahūñgā
galī bāzār baḌhtī vahshatoñ ko
maiñ tere naam hī likhtā rahūñgā
ba-rang-e-KHwab main bikhra rahunga
tere inkar jab chunta rahunga
kabhi socha nahin tha main tere bin
yun zer-e-asman tanha rahunga
tu koi aks mujh mein DhunDna mat
main shisha hun faqat shisha rahunga
taffun-zar hoti mahfilon mein
KHayal-e-yar se mahka rahunga
jiyunga main teri sanson mein jab tak
KHud apni sans mein zinda rahunga
gali bazar baDhti wahshaton ko
main tere nam hi likhta rahunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.